Sunday, June 16, 2013

Ae Khuda


Tere reham ki ab mujhko darkaar nahin hai
Ae Khuda tera ab mujhko aitbaar nahin hai

Teri rehmat ka bojh uthate main thak gaya
Tu jahaan bhi de de to sweekaar nahin hai

Jo dikhta hai in aankhon ko bas ek wahi sach hai
Tere dhoke ka to koi bhi aakaar nahin hai

Tere insaaf ke baare main padha hai aur suna hai
Jhooth hai ki bas der hai andhakaar nahi hai

Is janam main hi ilm ho gaya jahaan ke sach ka
Kisi aur janam ka mujhko intezaar nahi hai

No comments:

Post a Comment