Thursday, June 6, 2013

Bewajah Sharaab

Bewajah jab sharaab hoti hai
Lajawaab hoti hai
Na gham ka na khushi ki koi dakhal hoti hai
Jab na koi justuju hoti hai
Na kuch khone ka dar
...
Jab sirf maye saath hoti hai
Woh shaam kuch aur hoti hai

Ilzaam jab na uspe koi hota hai
Jab nasha na koi bojh dhota hai
Jab na koi kuch yaad karne ko peeta hai
Na koi bhoolne waala kissa hota hai
Jab sharaab koi dawaa nahin sirf sharaab hoti hai
lajawaab hoti hai

No comments:

Post a Comment