Sunday, June 16, 2013

Thehre hue paani main

Thehre hue paani main patthar na phenk
Haath chod ke tu ab mud mud ke na dekh

Dil tootne ki koi na koi awaaz to hogi
Tu khade khade  yun tamaasha na dekh

Tera na hona mere aansoon ka sabab tha kabhi
Ab tu hansi sun meri khush mizaazi ko dekh

No comments:

Post a Comment