UDAAN
Friday, December 8, 2023
दिल की बात
खुदा के लिए
कल और आज
अगर
इत्तेफाक या साजिश?
वक्त
Sunday, February 19, 2023
आज की रात!!
कुछ तो बात है आज की रात मे,
तू नही है फिर भी तेरी महफिल है,
तेरी सांसों की महक,
तेरी धड़कन की सरगाम,
तेरी खामोशी का शोर,
तेरे होठों के जाम,
तेरे इशारों पे चलते लम्हे,
न कटते हैं ना थमते हैं,
बस बांध के रखा है मुझे,
जैसे कोई ग़ज़ल हो,
जिसका मिसरा भी तुम हो और मुकम्मल भी तुम!
आज की रात न गुजरती है, ना ठहरती है,
आज की रात!
अंधकार
अंधकार
सच, निश्रोत, निडर
हर तरफ हर ओर
आदि अनंत
अंधकार
जो आंखों का मोहताज नहीं
जिसे सूर्य या चंद्रमा कोई दरकार नहीं
कोई चाह नहीं, कपट नही
कभी तोड़ा कोई वचन नही
जो जुदा होकर कभी जाता नहीं
किसीने किया इसका निर्माण नहीं
कोई कर सकता विनाश नहीं
शून्य है, शांति है
अंधकार।।
सौगातें
लम्हे समेट रहा हूं
यादें जोड़ रहा हूंगु
जरते हुए वक्त कीसौ
गातें जोड़ रहा हूं!!
कल पूछेगा अगर कोई
क्या कमाया तूने बता
उन नादानों के लिए
अपनी तिजोरी भर रहा हूं!!
रुकी हुई कलम
कल से एक कविता फंसी है,
कलम में जैसे श्याही जमी है।
खयाल ज़ेहन खंगाल रहा है,
लव्सो की पोटली पे गांठ लगी है।
बालकनी कितनी बार नाप ली,
हवा में कितने छल्ले छोड़े हैं,
कहीं से कोई पैगाम आ जाए,
चलते हुए कोई नब्ज दब जाए,
खुल जाए गांठ मुक्कमल हो जाए,
जो कविता मुझसे रूठी खड़ी है l
Saturday, June 19, 2021
दर्द!!
दर्द!!
एक एहसास जिससे हर कोई दूर भागना चाहता है। हर कोई इससे घबराता है।
मगर ये दर्द ही है जो जन्म से लेकर अंत तक साथ रहता है,
शोर मचाता साथ आता है और उन आखरी लम्हों तक साथ निभाता है!
नवजात शिशु की भूख का दर्द ही मां में ममता जगाता है।
दोस्ती का मोहब्बत का वो पहला एहसास दर्द ही करवाता है।
इंसान अपना हाथ किसी और के लिए तब बढ़ाता है, जब किसि का दर्द उसका दिल तोड़ जाता है।
सोचो ये दर्द न होता तो कौन जख्मों पे मरहम लगाता? अगर अंधेरे से चीख न निकलती तो क्या कोई दीप जलाता? अगर प्यासी धरा का दर्द अंबर न समझता तो क्या वो जल बरसाता? अगर जुदाई में दर्द न होता तो क्या मिलन का कोई वजूद रह जाता?
कहते हैं की खुशि बांटो तो बढ़ती है, सच है की हर खुशी दर्द के कोक से जनम लेती है!!
Tuesday, March 9, 2021
Education!!
Colour
Monday, July 15, 2019
जंग
ये जंग बरसों तक चलती है
कभी आंसू बन टपकती है
सूनी कलायिओं पे सजती है
किसी बाप के खोये हुए ख़्वाबों में भटकती है
किसी माँ की सूनी गोद भरती है
जंग स्टॉक मार्केट के इंडेक्स पे दिखती है
कभी राशन के बिल में चमकती है
बरसों बाद भी खाली मैदानों में फटती है
जंग अब जंग के मैदानों तक सीमित नहीं
ये हर गाँव हर शहर हर गली में गरजती है
जंग इंसान की समझदारी की तौहीन है
फिर भी
दुनिया के हर कोने में ये तौहीन होती है
जंग कभी ख़त्म नहीं होती
हर जंग एक नयी जंग का बीज बोती है!
Friday, June 28, 2013
Waqt ke saath
Haar hi sahi agar aur koi chaara nahi
Pathar ki imaartein aur sang dil insaan
Isse khaufnaak koi aur nazaara nahin
Humne hathiyaaron ke saamne hathiyaar daal diye
Jo jeetega usse badaa koi bechaara nahi
Khisakte pahaad ubalti nadiya pighalti barf
Uske khafa hone ka isse badaa ishara nahin
Kuch der ruko baitho aur hisaab karo
Lauta do jo humne cheena hai jo humaara nahi
Sunday, June 16, 2013
A song still waiting
Drowned in seas of emotions,
Putting my heartbeat into every word,
Mixed with laughter,
Drenched in tears,
Of happy moments,
And moments of fear,
Have dug deep into nights
without sleep,
Spoken to stars,
Discussed with dreams
Have stayed still like a placid lake
Swept many pebbles like a stream
But each time
Don't know what goes wrong
Have not been able to write that one Song
The song that would hit like a dart
A song that would touch your heart!!
Nahin hota
Hans lo saath hai jab tak akhir tak har koi saath nahi hota
Mujhe kaash tajurbe ne kuch to seekhaya hota
Aaj mere dil pe phir se mera haath nahi hota
Dil ki khidkiyon ko darwaazon ko band rakho
Unme jhaankne ka har koi haqdaar nahi hota
Tajurbe se kisi ke kaash doosra seekh jaata
Dil tootne ka kissa baar baar nahi hota
Kisi ke mil jaane se kabhi manzil nahin milti
Aankhein khol kar chalte to ye gumaan nahin hota
Ae Khuda
Tere reham ki ab mujhko darkaar nahin hai
Ae Khuda tera ab mujhko aitbaar nahin hai
Teri rehmat ka bojh uthate main thak gaya
Tu jahaan bhi de de to sweekaar nahin hai
Jo dikhta hai in aankhon ko bas ek wahi sach hai
Tere dhoke ka to koi bhi aakaar nahin hai
Tere insaaf ke baare main padha hai aur suna hai
Jhooth hai ki bas der hai andhakaar nahi hai
Is janam main hi ilm ho gaya jahaan ke sach ka
Kisi aur janam ka mujhko intezaar nahi hai
Aye Kaash...
Hum roye tere kaandhe pe
Tum mere saath hansti raho
Teri smile pe darling hum fida hon
Never tujhse hum judaa hon
Tere saath time ke wheel pe lag jaaye break
Har hansi pal ka hum karein retake
Har din double ho pyaar ka account
Love ka na karine hum kabhi cheque bounce
Jeeyein apni life hum hoke fearless
Na ho duniyadaari ka koi bhi stress
Jo aaye gham to USE karein masti ka duster
Main tera tu meri ban jaaye stress buster
Week main ek baar ho jam ke fight
Fir mana lein ek duje ko hokar tight
Jahaan bhi jaayen karein mehfil bright
Humse nikle always happiness ki light
Kaash ye story ka na kabhi ho the end
Life ke is rule ko bhi hum kar lein bend
Life main kabhi na aaye blue waala Monday
Har night friday night har din ho Sunday
Tere mere beech main na ho kuch bhi wrong
Life guzarti rahe jaise melodious love song
Nasha karun bas tera na ho aur koi taste
Har waqt rahe available tere hothon ki cigarette
Likhe log humaari love story pe thesis
Ghoshit kar dein hum dono ko endangered species
Yash Chopra ki banein hum aakhri love story
Hollywood kare is humaari story ki chori
Har jawaan dhadkan ke liye hum ho kamaal
Box office ho ya pub machaaye hum dhamaal
Na life bhar humein ho kisi baat ki tension
Budhaape main bhi bharpoor mile pyaar ki pension
Thehre hue paani main
Haath chod ke tu ab mud mud ke na dekh
Dil tootne ki koi na koi awaaz to hogi
Tu khade khade yun tamaasha na dekh
Tera na hona mere aansoon ka sabab tha kabhi
Ab tu hansi sun meri khush mizaazi ko dekh
Dekha
Gham bhulaane ka har taur aazmaa kar dekha
Dil ki awaaz dil main dabi rahe mere
Chup rahe kabhi shor macha kar dekha
Meri to sakshiyat hi kuch aisi hai
Jo saksh mila usne rula kar dekha
Jo kiya maine sar-e-aam uska gawaah nahin
Jo na kiya woh sab ne mil kar dekha
Zid na karein
Meri umeed ban ke rahein maksad bana loon zid na karein
Darakht ki parchaayeen par uska koi zor nahi chalta
Chaaon ki bas umeed karein har roz milegi zid na karein
Insaan mohabbat to kare toot kar lekin
Badle main pyaar hi mile is baat ki zid na kare
Dhalte hue sooraj ko kamzor jo samajhte ho
Har roz subah ko laaye is baat ki usse zid na karein
Gamkhaar ke ansoo ponchein roye to kandha de dein
apne ansoonon ko behne dein koi ponchein ye zid na karein
Jab bhi maine...
Jab bhi maine ibadat main sar jhukaya hai
Apne khuda ko khafa khafa paaya hai
Gham ka andhera gehraa raat lambi aur tanha hai
Khuhsi ki roshni ko bhi haadsaa paaya hai
Har woh sheh jisse ki bhaagte phire hum
Usi ko kisi na kisi mod pe khadaa payaa hai
Woh lamha jisme zindagi dhoondhi humne
Apni baahon main use dum todta paaya hai
Aazmaayish
Ae zamaane koi kasar na rakhna ye khwaayish hai
Dard mujhko tumhaari maar se kab hua hai raqeebon
Mere lab pe aah to tere moonh pherne se aayi hai
Hathiyaar tumhaare paas woh saare hain bhi to kya
Ek nazar jo maar daale woh kahaan paayi hai